Aj na jane q rone ka man kiya,
maa k anchal me sir chupa k sone ka man kiya.
duniya ki bheedh me kho chuke the rishtey sab,
aj q un rishton ko ek sirey se sanjone ka man kiya.
kisi din bheedh me dekhi thi kisi ki aankhen,
aj fir un aankhon me khone ka man kiya.
roz sapno se baate kiya krte the hum,
aj na jane q unse muh modne ka man kiya.
jhuth bolte hai apne aap se roz hum,
aj na jane q khud se ek sach bolne ka man kiya.
dil todte hai sabka apni baato se hum,
aj na jane q ek tuta hua dil jodne ka man kiya.
na jaane q aaj rone ka man kiya....